Skip to main content

Posts

Khubsoorti kya hoti hai

  Sune the kisse bahut teri khubsurti ke Logoo ne jo byaan kie the..... Pr asal khubsurti ka andaaza tb hua Jb tu mujhse ek din rubruu hua..... Tere mazboot or kathor vyaktitav mein bi Ek sakoon bhara ehsaas hai.... Tere tedhe medhe safar ka bi Ek apna nirala andaaz hai..... Suraj ki pheli kiran se shingar hota h tera Suraj ki aakhiri kiran bi tujhe salaam krti hai... Pakshiyo ki chehchahat se gunjti h vaadiya teri Jharno ki dhaar bi usme chaar chaand lgati hai.... Jo manjaar dekhe the hazaaro dfaa Unki khubsurti ka andaaza tujhse milke hua hai.... Ugte suraj ko dekhne ka sukoon Or dubte suraj ko dekhne ki khubsoorti ka ehssas tune kraya hai.... Wo jharnoo se girte pani ki jhankar Wo pakshiyo ki chehchahat..... Wo behete hue pani ki shalinta Or Wo tede mede safar ka romaanch... Tujhse mohbbat ho gyi hai mjhe Har pal tujhe dekhne ko jee chahta hai.... Teri un khoobsurat vaadiyo mein Humesha ke lie bas jane ko jee chahta hai... Kudrat ne bhi fursat mein tjhe bnaya hai Khubsoorti kya hoti

Nayi shuruwat

Ek saal beet chuka Ek saal humara intezaar kr raha hai Kuch ummedee kuch aashaee lekar naya saal humare samne khada hai... Aao purane saal ko alvida kahete hai... Khati-meethi yaado ko yaadgaar bnate hai..... Purane saal ka intezaar bi bahut si umeedo se kia tha Pr Socha na tha kabhi ki koi saal aisa bi aaega... January ki sard hawaoo se shuru hokar Is saal ne apna rang dikhaya tha.... Or February ne ek mahamaari ka aagaj kia tha Andaaja na tha kisi ko ek vishaanu ki taakat kaa Gumaan tha vigyaniko ko bhi apne gyaan ka.... Dheere dheere is mahamaari ne apna rang dikhaya tha March tak puri duniya p apna per jmaya tha..... Parindo ko pinjro mein kaid krne walo ko Mahino ghar rahne pr manzoor kia tha... Aurto ko nakab k piche rhne ki hidaayte dene walo ko Khud nakaab lgane pr mazboor kia tha... Kabhi naa sochne wala manjar dikha kr gya ye saal Kuch zindagi bhar k tazurbe bhi de kar gya ye saal Parivaar ko waqt na dene walo ko Pura waqt sath bitane ka moka dekar gaya ye saal.. Apne or praa

Aaj dekh tu kitni badi ho gayi hai

 Aaj dekh tu kitni badi ho gayi hai Dulhan k jode m hmare samne khadi hai.. Athaeis saal phle tum is ghar m aai thi... Maa paa k jeevan mein khushiya layi thi... Pandrah saal ka intezaar tumne khatam kia thaa... Maa paa banne ka unhe sukh mila thaa... Or Aaj dekh tu kitni badi ho gayi hai Unhe kanyadaan karne ka sukh de rahi hai.... Nanhe nanhe pairo se jo idhar udhar ghuma krti thi Apni shararto se pure ghar ko chehkaya krti thi..... Ab wo kisi or k ghr ko chehkane wali h Jo hume tedhi medhi rotiya khilaya krti thi... Ab wo kisi aur ko gol roti khilane wali hai... Hmare aangan ki kali Ab phool ban kar kisi aur k aangan ko mehkaane wali hai Dekho Hmari nanhi si gudiyaa ab kitni badi ho gayi hai... Choti choti baat pr muh phulane wali Mere se har baat par ladne wali Ab samajhdaar bnna sikh ri hai Meri har wish ko pura karne wali Sab ghar walo ki sabse laadli Ab naye rishte m bandhne jaa rahi hai Dekho Hmari nanhi si gudiya ab kitni badi ho gayi hai.. Jiske aane ka ek din intezaar tha sb

Phechaan

Meri phechan mere astitav ko Mere rang roop se mt jodo Main kaisi dikhti hu ye khekr Meri mehnat pr pani to mat fero.... Manager hu ya doctor hu main Professor hu ya scientist hu Mere kaam se meri phechaan hai Rang sawaala hai ya gora hai Thodi patli hai ya moti hai Kali gori patli moti lambi choti Ye sb to bs smaaj k di hui phechaan hai... Kyu hmare rang roop se  Hmari kabiliyat ko maapa jata hai... Kyu is smaaj m bs gore rang walo ko hi sunder maana jata hai.. Mote patle ke aadhar pr kyu yogyatta ko maapa jata hai.. Choti uuchayi walo ka kyu mjaak udaaya jata hai... Karam k aadhar pr kyu use phechaana nahi jata hai... Wo kaisi dikhti hai ye khekar kyu uska manobal toda jata hai... ๐Ÿ“Sonika Sharma๐Ÿ“

"Betiyaa"

Hume beta nahi banna  Hume betiyaa hi rhne doo Bs apni phechaan bnane ka ek moka to dedo... Kyu khte ho ki hum tumhe beta mante hai... Aree betiya maan kr hi vishwaas krke to dekho Hum nhi chahte kisi k brabar banna Hum nhi chahte kisi ka mukabla krna.. Hme bs asmaan ki uchaiyoo ko chune to doo... Hume beta nahi bs betiya maan kr ri hi udne to do .. Kyu tyohaaro ko bi baat diaa ladka ladki k naam pr... Kyu rivaazo k naam par ye bij smaj m boo dia Kb tk ye bhedbhaav yuhi chalegaaa... Kb tak lambi umar ka vart bs beto k lie hoga Kuapujan ki khushi beti k hone pr bi mnayi jaa skti hai Karwachauth k vart se patni ki bi umar lambi ho skti hai Par ye "Aise hi hota hai" hum sunte aae hai... Aur ispe swaal krne ki himmat kbi na kr paye h... Beta  bnne ki chah nahi h humme Bs apni jagah bnana chahte hai. Unke haq m se hissa nahi chahiye hume Bs apna haq ka hissa lena chahte hai Hum beta bankr nahi betiya rhe kr hi udne chahte hai.....                  ๐Ÿ“ Sonika Sharma๐Ÿ“

Azaadi ka Jashn

  Aazadi ka jashn Aazadi ka jashn mnane walo Aazadi ka matlab to smjhoo 1947 m to bs angrezo se azaad hue the Ek br apni soch se  azaad hokar to dekho.. Rudivaadi, purushvaadi smaaj m jakade hue hoo. Uunch-neech aur jaat-paat k naam pr tum  ladte rhte ho Khun ek h khaal ek fir ye bhed kha se aaya hai Hindu-muslim-sikh-isaai sb insaan ne hi to bnaya hai... Jb jakde hue h sb is soch se to fir azaadi ka jashn kyu mnana hai... Phle azaad ho jao is soch se Fir bharat desh ko ek bnana h Purushvadi is smaaj m bs pursho ka bol bola hai Beti ho ya bahu ho dono ko mryaadao ne jakda hai.. Ladka-ladki k aadhar par kaamo ka batwara kia Ghar p rhe bahu betiyaa ye khe kr unhe rok dia.... Gharo m kaid unhe krne walo azaadi ka jashn kyu mnana hai Phle azaad ho jao is soch se Fir bharat desh ko ek bnana hai Aarakshan k naam pr kaabilyat ko piche dhakelte ho.. 40% lane wale ko doctor tum bnate hoo... Aarakshan ki maang krne walo phle uska matlab to smjhoo.. Kyu ise shuru kia phle uska kaaran to jaanoo...

"Privacy in Life"

"Privacy in Life" Today's generation only needs privacy They made their life a full of secrecy... Being independent and modern makes you cool But don't forget your family for unknown.. They don't value their family relations That's why most of them suffered from a depression Family, friends are always there for you.. But they don't want to share their views Problems are a part of everyone's life... Play with them like a roller coaster ride Remember, You can't survive alone in this fake society And the money can't buy you all the serenity You need someone in your life Who understands you all the time By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"aashiyana"

"aashiyana" Ek sapna tha bachpan se Jise haqiqat mein badlna tha... Ki ek aashiana ho apna bi Jisme phullo ki tarah mehknaa tha... Bachpan se ye suna thaaa... #bs do behne ho... Bhai nhi hai tabhi se ye thanaa tha... Ki kuch karke dikhana hai.... Jo shayad beta na kr pata... Wo betiyaa ho kr krna hai... Bs tbhi se ye sapna thaa  Ki ek ashiana ho apna bi.... Jisme suraj ki tarah chamkna thaa.. Tinka tinka jod kr..... Kayi saalo se ikathe kie... Kouee(crow), cheel bi bahut aae... Pr hum apni baat par ade rahe... Bs itna sa sapna thaaa..... Ek ashiana ho chota sa.... Bs usme chidiya ki tarah chahkna tha... Rukawatee bi bahut aayi... Parikshae bi bahut di... Taane bi bahut sune hai.. Ehsaan bi logo ne bahut jataee hai Pr umeed kabhi haari nahi.... Manzil ki taraf chalte rahe.... Mehanat kabhi to rang laegii Bs isi umeed me hum badhte rahe... Or ek sapne ko pura karne k liye... Chup chap sb sunte gaye... Wo sukoon aj mil paya hai... Mehnat ne rang dikhaya hai... Maa paa ka bi thod

"Muskilen Zindagi me"

Muskilen Zindagi me Khudkusi karne se phle kuch soch lia hota... Kash!!Maa ke masoom chehre ko yaad kr lia hota... Kyu bhul gaye ki papa ki ummed ho tum Bhai-behno ki khushi ki wajah ho tum.... Ek bar apni pareshaniya bta kr to dekhte... Bhai behno se nahi to dosto se hi baat to krte Kaise bhul gye tum maa ki mamta ko.... Kaise bhul gye tum pita ki shiksha ko... Kyu behno ki muskaan ko aansuoo m badal dia.. Kyu sabko bich raah m hi chod dia... Kaayar bnna to shayad nahi sikhaya tha tumhe... Pita ne to har mushkil se ladna sikhaya tha tumhe.. Maa ne bi sher ki tarah paala tha tumhe.. Behno ne bi har saal raksha sutra(rakhi) bandha tha tumhe Fir kaise itni jaldi haar gaye tum... Sabko bich raah m hi chod kr chale gye tum.... For all.... Mushkilo se bhaagna to asaan hai... Pr ek br unka saamna krke to dekho Apne chahne walo ko bta kr to dekhoo Ye khayal aane se phle Yaad krlia kro kis kis ki umeed ho tum  Maa paa ki jeene ki wajah ho tum.... By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"Maa ki Mamta"

"Maa ki Mamta" Aj fir kalam uthane ka dil hua tha... Apne jazbaato ko panne pe utarne ka dil chaha tha Par kya likhu uske bare mein.. Jisne khud mujhe kalam pakdna sikhaya tha.. Zindagi jisne shuru ki hai... Jo is sansar me aane ki wajah bani hai... Bhagwan bi jiske saamne natmastak hai.. Kya likhu uske bare mein... Jisne khud meri zindagi ki kahani likhi hai... Jisse har rishte ka wajood hai.... Jo mere astitiv ki pehchaan hai.... Jisne rishton ka mehttav btaya hai... Apne se phele dusro ke bare me sochna sikhaya hai... Kya likhu uske bare mein... Jisne khud mujhe likhna sikhaya hai... Sare rishton se badhkar hain rishta jiska... Maa ek shabd nhi ehssason ki hai dastaan... Khud se phele pet bache ka bharti hai wo... Ek roti ho to khud bina khae so jati hai woo... Chot mujhe lagti hai to preshan khud ho jati hai woo.. Mushkil mujhpe aati hai to dhaal ban khadi ho jati hai wo... Khud anpad bi ho to bi bache ko upsar bna deti hai wo Apni santaan ke lie Durga,kaali,saraswati sb

"Sambhal Ja Insaan"

"Sambhal Ja Insaan" Ab to sambhal jaa ae insaan... Kuch to dar is keher se ae insaan... Ab to apne sath dusre ka bi soch ae insaan... Uparwale ne tujhko jo dia hai Usme se dusre ko bi khila de ae insaan... Ab to apne sath dusre ka bi soch ae insaan... Kisi ki majburiyo ka faida mat utha ae insaan Ek roti khila kr chaar tasveer mat le ae insaan... Daan krke sab ko mat bta ae insaan... Kisi ki majburiyo ka faida mat utha ae insaan Ab to apne sath dusre ka bi soch ae insaan.. By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"Ajab sa Daur"

"Ajab sa Daur" Kuch ajab daur hai yeh zindagi ka๐Ÿค” Kuch anjane rishte judne ka๐Ÿค,To kuch purane rishte chutne ka๐Ÿšถ‍♀.... Uljhane to bahut di hai is zindagi ne... Pr unhe suljhane ki taakat ๐Ÿ’ชbi di h isi zindagi ne.. Zindagi k har daur ne kch na kch sikhaya hai... Kisi ne apno๐Ÿ™‚ to kisi ne prayo ๐Ÿ™ƒka chehra dikhaya hai... Yeh daur bi zarur kuch na kuch sikha ke jaega๐Ÿคซ... Or kuch nahi to zindagi ka sabak hi dekar jaega Or na jane kitne imtehaan legi yeh zindagi... Or kitni mushkilo se ldwaegi yeh zindagi... Bura waqt bi zarur kuch acha lekar ata h... Or kuch nhi to apno ๐Ÿ™‚or prayo ๐Ÿ™ƒme farq dikhata h Na jane yeh daur kya dikhlaegaa.. Kis prayee๐Ÿ‘ซ๐Ÿ‘ญ ko apna bnwaega... By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"Kudrat ka Insaaf"

"Kudrat ka Insaaf"  Dekho... Kudrat ne kya khel dikhaya hai... Har vyakti ko apni ungli pr nachaya hai... Is insaan ka saahas to dekho Prakriti ke niyamo ko badlnee chala thaa.... Kudrat ne ek vishaanu se apni taakat ka ehsaas kraya hai... Ped-podhe, jeev jantu, sbko kaabu me kr rahe the Kudrat ne ek jhatke me sbko kaid krke dikhaya hai... Saare dohre chahere ka nakaab lga ke ghum rahe the... Kudrat ne ab sbko nakaab lgaane par majboor kia hai... Us khudaaa ki taakat ko to dekhoo.. Jo Behrehmi se jaanvaro pr apna zor dikhaa rahe the... Aj unpe kudrat ne apna keher barsaya hai... Pinjroo me kaid krne ka shok rkhne walo ko... Aj unhi ke gharo me unko kaidii bnaya hai... Gumaan tha vegyaniko ko bhi apni kaabiliyat pr Aj Kudrat ne un sabko aaina dikhaya hai... Dekho... Kudrat ne kya khel dikhaya hai... Har vyakti ko apni ungli pr nachaya hai.. By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"Periods a taboo in our society"

"Periods a taboo in our society" Ye abhishraap nhi vardaan hai prakriti kaa Nayi zindagi ko duniya me laane kaa... Is prakriti ko aage chlane kaa... Fir kyu use achoot smjhaa jata hai... Fir kyu use har mahine sharam se guzrna pdta hai... Sabse alag use ghar mein rakha jata hai... Kamra, khana, sona sb alag kr dia jata hai Paan, gutkha, sharab sb bikta h khule aam.. Fir kyu sanitary pads ko akhbaar m chupa ke becha jata hai... Ikkisvi sadi mein bi kuch naa badal paya hai... Sabki maa ne unhe is bare mein chup rhna sikhaya hai.... Betiyoo ke sath sath kyu nhi betoo ko bhi smjhaya jataa hai.. Behen,patni or maa ka kaise dhyan rakhaa jata hai... Use alag se kamre me rahne ki nhi tumhari dekhbhaal ki jarurat hai.. Use is parkiriya se nahi ,daag lagne ke dar se jada takleef hoti hai... Use khun behne se nahi achoot, ashudh sunne se dukh hota hai.. Use dard sehne se nahi is chuppi se jada takleef hai.... Use bs sbke saamne mazak banne ka dar sehma deta hai ... Kyu in vishiyo par ko