
Sune the kisse bahut teri khubsurti ke
Logoo ne jo byaan kie the.....
Pr asal khubsurti ka andaaza tb hua
Jb tu mujhse ek din rubruu hua.....
Tere mazboot or kathor vyaktitav mein bi
Ek sakoon bhara ehsaas hai....
Tere tedhe medhe safar ka bi
Ek apna nirala andaaz hai.....
Suraj ki pheli kiran se shingar hota h tera
Suraj ki aakhiri kiran bi tujhe salaam krti hai...
Pakshiyo ki chehchahat se gunjti h vaadiya teri
Jharno ki dhaar bi usme chaar chaand lgati hai....
Jo manjaar dekhe the hazaaro dfaa
Unki khubsurti ka andaaza tujhse milke hua hai....
Ugte suraj ko dekhne ka sukoon
Or dubte suraj ko dekhne ki khubsoorti ka ehssas tune kraya hai....
Wo jharnoo se girte pani ki jhankar
Wo pakshiyo ki chehchahat.....
Wo behete hue pani ki shalinta
Or Wo tede mede safar ka romaanch...
Tujhse mohbbat ho gyi hai mjhe
Har pal tujhe dekhne ko jee chahta hai....
Teri un khoobsurat vaadiyo mein
Humesha ke lie bas jane ko jee chahta hai...
Kudrat ne bhi fursat mein tjhe bnaya hai
Khubsoorti kya hoti hai
Uska jeevant udhaaran hume dikhaya hai....
📝By Sonika Sharma📝