Skip to main content

"Maa ki Mamta"

"Maa ki Mamta"

Aj fir kalam uthane ka dil hua tha...
Apne jazbaato ko panne pe utarne ka dil chaha tha
Par kya likhu uske bare mein..
Jisne khud mujhe kalam pakdna sikhaya tha..
Zindagi jisne shuru ki hai...
Jo is sansar me aane ki wajah bani hai...
Bhagwan bi jiske saamne natmastak hai..
Kya likhu uske bare mein...
Jisne khud meri zindagi ki kahani likhi hai...
Jisse har rishte ka wajood hai....
Jo mere astitiv ki pehchaan hai....
Jisne rishton ka mehttav btaya hai...
Apne se phele dusro ke bare me sochna sikhaya hai...
Kya likhu uske bare mein...
Jisne khud mujhe likhna sikhaya hai...
Sare rishton se badhkar hain rishta jiska...
Maa ek shabd nhi ehssason ki hai dastaan...
Khud se phele pet bache ka bharti hai wo...
Ek roti ho to khud bina khae so jati hai woo...
Chot mujhe lagti hai to preshan khud ho jati hai woo..
Mushkil mujhpe aati hai to dhaal ban khadi ho jati hai wo...
Khud anpad bi ho to bi bache ko upsar bna deti hai wo
Apni santaan ke lie Durga,kaali,saraswati sb ban jati hai wo..
Dekho..kaisi rachna ye uparwale ne bnayi hai..
Sari shrishti ki shaktiyaan ek maa me bsayi hai..

By 📝 Sonika Sharma📝