Skip to main content

"Periods a taboo in our society"

"Periods a taboo in our society"
Ye abhishraap nhi vardaan hai prakriti kaa
Nayi zindagi ko duniya me laane kaa...
Is prakriti ko aage chlane kaa...
Fir kyu use achoot smjhaa jata hai...
Fir kyu use har mahine sharam se guzrna pdta hai...
Sabse alag use ghar mein rakha jata hai...
Kamra, khana, sona sb alag kr dia jata hai
Paan, gutkha, sharab sb bikta h khule aam..
Fir kyu sanitary pads ko akhbaar m chupa ke becha jata hai...
Ikkisvi sadi mein bi kuch naa badal paya hai...
Sabki maa ne unhe is bare mein chup rhna sikhaya hai....
Betiyoo ke sath sath kyu nhi betoo ko bhi smjhaya jataa hai..
Behen,patni or maa ka kaise dhyan rakhaa jata hai...
Use alag se kamre me rahne ki nhi tumhari dekhbhaal ki jarurat hai..
Use is parkiriya se nahi ,daag lagne ke dar se jada takleef hoti hai...
Use khun behne se nahi achoot, ashudh sunne se dukh hota hai..
Use dard sehne se nahi is chuppi se jada takleef hai....
Use bs sbke saamne mazak banne ka dar sehma deta hai ...
Kyu in vishiyo par koi jaankari nahi detaa...
Ladkiyoo ke sath ladko ko bhi samjhaya nhi jataa...
Kyu iske bare mein isharon mein baat ki jati hai...
Or khul ke baat krne walo ko besharam smjhaa jata hai..

Use tumhari hamdardi ki nahi bs sath ki zarurat hai...
Bs kabhi kabhi uski chupi ko smajh lia kro...
Bina kahe uske lie chocolates le aaya kro..
Jb wo chidchidi ho to pyar se baat kr lia kroo..
Use ashoodh nahi bs pavitir tum maan lia kro..
Ise abhisharap nahi bs vardaan tum smjha kro..
Agr sath de nahi sakte to bs mzak bi mat bnaya kro.

By 📝 Sonika Sharma📝