Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2020

"Maa ki Mamta"

"Maa ki Mamta" Aj fir kalam uthane ka dil hua tha... Apne jazbaato ko panne pe utarne ka dil chaha tha Par kya likhu uske bare mein.. Jisne khud mujhe kalam pakdna sikhaya tha.. Zindagi jisne shuru ki hai... Jo is sansar me aane ki wajah bani hai... Bhagwan bi jiske saamne natmastak hai.. Kya likhu uske bare mein... Jisne khud meri zindagi ki kahani likhi hai... Jisse har rishte ka wajood hai.... Jo mere astitiv ki pehchaan hai.... Jisne rishton ka mehttav btaya hai... Apne se phele dusro ke bare me sochna sikhaya hai... Kya likhu uske bare mein... Jisne khud mujhe likhna sikhaya hai... Sare rishton se badhkar hain rishta jiska... Maa ek shabd nhi ehssason ki hai dastaan... Khud se phele pet bache ka bharti hai wo... Ek roti ho to khud bina khae so jati hai woo... Chot mujhe lagti hai to preshan khud ho jati hai woo.. Mushkil mujhpe aati hai to dhaal ban khadi ho jati hai wo... Khud anpad bi ho to bi bache ko upsar bna deti hai wo Apni santaan ke lie Durga,kaali,saraswati sb

"Sambhal Ja Insaan"

"Sambhal Ja Insaan" Ab to sambhal jaa ae insaan... Kuch to dar is keher se ae insaan... Ab to apne sath dusre ka bi soch ae insaan... Uparwale ne tujhko jo dia hai Usme se dusre ko bi khila de ae insaan... Ab to apne sath dusre ka bi soch ae insaan... Kisi ki majburiyo ka faida mat utha ae insaan Ek roti khila kr chaar tasveer mat le ae insaan... Daan krke sab ko mat bta ae insaan... Kisi ki majburiyo ka faida mat utha ae insaan Ab to apne sath dusre ka bi soch ae insaan.. By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"Ajab sa Daur"

"Ajab sa Daur" Kuch ajab daur hai yeh zindagi ka๐Ÿค” Kuch anjane rishte judne ka๐Ÿค,To kuch purane rishte chutne ka๐Ÿšถ‍♀.... Uljhane to bahut di hai is zindagi ne... Pr unhe suljhane ki taakat ๐Ÿ’ชbi di h isi zindagi ne.. Zindagi k har daur ne kch na kch sikhaya hai... Kisi ne apno๐Ÿ™‚ to kisi ne prayo ๐Ÿ™ƒka chehra dikhaya hai... Yeh daur bi zarur kuch na kuch sikha ke jaega๐Ÿคซ... Or kuch nahi to zindagi ka sabak hi dekar jaega Or na jane kitne imtehaan legi yeh zindagi... Or kitni mushkilo se ldwaegi yeh zindagi... Bura waqt bi zarur kuch acha lekar ata h... Or kuch nhi to apno ๐Ÿ™‚or prayo ๐Ÿ™ƒme farq dikhata h Na jane yeh daur kya dikhlaegaa.. Kis prayee๐Ÿ‘ซ๐Ÿ‘ญ ko apna bnwaega... By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"Kudrat ka Insaaf"

"Kudrat ka Insaaf"  Dekho... Kudrat ne kya khel dikhaya hai... Har vyakti ko apni ungli pr nachaya hai... Is insaan ka saahas to dekho Prakriti ke niyamo ko badlnee chala thaa.... Kudrat ne ek vishaanu se apni taakat ka ehsaas kraya hai... Ped-podhe, jeev jantu, sbko kaabu me kr rahe the Kudrat ne ek jhatke me sbko kaid krke dikhaya hai... Saare dohre chahere ka nakaab lga ke ghum rahe the... Kudrat ne ab sbko nakaab lgaane par majboor kia hai... Us khudaaa ki taakat ko to dekhoo.. Jo Behrehmi se jaanvaro pr apna zor dikhaa rahe the... Aj unpe kudrat ne apna keher barsaya hai... Pinjroo me kaid krne ka shok rkhne walo ko... Aj unhi ke gharo me unko kaidii bnaya hai... Gumaan tha vegyaniko ko bhi apni kaabiliyat pr Aj Kudrat ne un sabko aaina dikhaya hai... Dekho... Kudrat ne kya khel dikhaya hai... Har vyakti ko apni ungli pr nachaya hai.. By  ๐Ÿ“  Sonika Sharma ๐Ÿ“

"Periods a taboo in our society"

"Periods a taboo in our society" Ye abhishraap nhi vardaan hai prakriti kaa Nayi zindagi ko duniya me laane kaa... Is prakriti ko aage chlane kaa... Fir kyu use achoot smjhaa jata hai... Fir kyu use har mahine sharam se guzrna pdta hai... Sabse alag use ghar mein rakha jata hai... Kamra, khana, sona sb alag kr dia jata hai Paan, gutkha, sharab sb bikta h khule aam.. Fir kyu sanitary pads ko akhbaar m chupa ke becha jata hai... Ikkisvi sadi mein bi kuch naa badal paya hai... Sabki maa ne unhe is bare mein chup rhna sikhaya hai.... Betiyoo ke sath sath kyu nhi betoo ko bhi smjhaya jataa hai.. Behen,patni or maa ka kaise dhyan rakhaa jata hai... Use alag se kamre me rahne ki nhi tumhari dekhbhaal ki jarurat hai.. Use is parkiriya se nahi ,daag lagne ke dar se jada takleef hoti hai... Use khun behne se nahi achoot, ashudh sunne se dukh hota hai.. Use dard sehne se nahi is chuppi se jada takleef hai.... Use bs sbke saamne mazak banne ka dar sehma deta hai ... Kyu in vishiyo par ko